martā  bhalā  hai  zabt  kī  tāqat  agar  na  ho
kitnā  hī  dard-e-dil  ho  magar  chashm-e-tar  na  ho
vo  sar  hī  kyā  ki  jis  meñ  tumhārā  na  ho  ḳhayāl
vo  dil  hī  kyā  ki  jis  meñ  tumhārā  guzar  na  ho
aisī  to  be-asar  nahīñ  betābi-e-firāq
naale  karūñ  maiñ  aur  kisī  ko  ḳhabar  na  ho
mil  jaao  tum  to  shab  ko  baḌhā  leñge  tā-abad
māñgeñge  ye  duā  ki  ilāhī  sahar  na  ho
zulf  un  kī  apne  ruḳh  pe  pareshāñ  kareñge  ham
Dar  hai  shab-e-visāl  kahīñ  muḳhtasar  na  ho
maiñ  huuñ  vo  tufta-dil  kī  huā  āftāb  par
merā  gumāñ  ki  aah  kā  merī  sharar  na  ho
'shaidā'  ko  tere  ḳhauf  kisī  kā  nahīñ  yahāñ
saarā  jahāñ  ho  us  kā  adū  to  magar  na  ho