kuchh  baat  hī  thī  aisī  ki  thāme  jigar  ga.e
ham  aur  jaate  bazm-e-adū  meñ  magar  ga.e
ye  to  ḳhabar  nahīñ  ki  kahāñ  aur  kidhar  ga.e
lekin  yahāñ  se  duur  kuchh  ahl-e-safar  ga.e
armāñ  jo  ham  ne  jam.a  kiye  the  shabāb  meñ
piirī  meñ  vo  ḳhudā  ko  ḳhabar  hai  kidhar  ga.e
rutba  buland  hai  mire  dāġhoñ  kā  is  qadar
maiñ  huuñ  zamīñ  pe  daaġh  mire  tā-qamar  ga.e
ruḳhsār  par  hai  rañg-e-hayā  kā  faroġh  aaj
bose  kā  naam  maiñ  ne  liyā  vo  nikhar  ga.e
duniyā  bas  is  se  aur  zyāda  nahīñ  hai  kuchh
kuchh  roz  haiñ  guzārne  aur  kuchh  guzar  ga.e
jaane  lagā  hai  dil  kī  taraf  un  kā  haath  ab
naale  shab-e-firāq  ke  kuchh  kaam  kar  ga.e
hasrat  kā  ye  mazā  hai  ki  nikle  nahīñ  kabhī
armāñ  nahīñ  haiñ  vo  ki  shab  aa.e  sahar  ga.e
bas  ek  zaat  hazrat-e-'shaidā'  kī  hai  yahāñ
dehlī  se  rafta  rafta  sab  ahl-e-hunar  ga.e