gudāz-e-dil  se  parvāna  huā  ḳhaak
jiyā  be-soz  meñ  to  kyā  jiyā  ḳhaak
kisī  ke  ḳhūn-e-nāhaq  kī  hai  surḳhī
rañgeñgī  dast-e-qātil  ko  hinā  ḳhaak
nigah  meñ  sharm  ke  badle  hai  shoḳhī
khule  phir  raat  kā  kyā  mājrā  ḳhaak
laboñ  tak  aa  nahīñ  saktā  to  phir  maiñ
kahūñ  kyā  apne  dil  kā  mudda.ā  ḳhaak
bulandī  se  hai  us  kī  Dar  ki  ik  roz
karegī  āshiyāñ  barq-e-balā  ḳhaak
na  dekhā  jin  kā  chehra  gard-ālūd
paḌī  hai  un  pe  ab  be-intihā  ḳhaak
bayābāñ  meñ  phirā  karte  haiñ  'shaidā'
haqīqat  meñ  hai  ulfat  kī  davā  ḳhaak