Hari Chand Akhtar

suna kar haal qismat aazma kar lauT aae hain

Hari Chand Akhtar

Hoshiarpur, Punjab, India

1901-1958
sunā kar haal qismat aazmā kar lauT aa.e haiñ
unheñ kuchh aur begāna banā kar lauT aa.e haiñ
phir ik TuuTā huā rishta phir ik ujḌī huī duniyā
phir ik dilchasp afsāna sunā kar lauT aa.e haiñ
fareb-e-ārzū ab to na de ai marg-e-mayūsī
ham ummīdoñ kī ik duniyā luTā kar lauT aa.e haiñ
ḳhudā shāhid hai ab to un sā bhī koī nahīñ miltā
ba-zom-e-ḳhvesh un ko aazmā kar lauT aa.e haiñ
bichhe jaate haiñ yā rab kyuuñ kisī kāfir ke qadmoñ meñ
vo sajde jo dar-e-ka.aba pe jā kar lauT aa.e haiñ
Top Urdushayar.com