kyā  kahā  phir  to  kaho  dil  kī  ḳhabar  kuchh  bhī  nahīñ
phir  ye  kyā  hai  ḳham-e-gesū  meñ  agar  kuchh  bhī  nahīñ
aañkh  paḌtī  hai  kahīñ  paañv  kahīñ  paḌtā  hai
sab  kī  hai  tum  ko  ḳhabar  apnī  ḳhabar  kuchh  bhī  nahīñ
sham.a  hai  gul  bhī  hai  bulbul  bhī  hai  parvāna  bhī
raat  kī  raat  ye  sab  kuchh  hai  sahar  kuchh  bhī  nahīñ
hashr  kī  dhuum  hai  sab  kahte  haiñ  yuuñ  hai  yuuñ  hai
fitna  hai  ik  tirī  Thokar  kā  magar  kuchh  bhī  nahīñ
nīstī  kī  hai  mujhe  kūcha-e-hastī  meñ  talāsh
sair  kartā  huuñ  udhar  kī  ki  jidhar  kuchh  bhī  nahīñ
sham.a  maġhrūr  na  ho  bazm-farozī  pe  bahut
rāt-bhar  kī  ye  tajallī  hai  sahar  kuchh  bhī  nahīñ
ek  aañsū  bhī  asar  jab  na  kare  ai  'tishna'
fā.eda  rone  se  ai  dīda-e-tar  kuchh  bhī  nahīñ