Hari Chand Akhtar

kisi ke husn-e-alam-tab ki tanwir ke sadqe

Hari Chand Akhtar

Hoshiarpur, Punjab, India

1901-1958

kisī ke husn-e-ālam-tāb tanvīr ke sadqe

kisī bad-baḳht sūrat bhī pahchānī nahīñ jaatī

muravvat adā par band āñkheñ kar ke luT jaanā

ye nādānī sahī lekin ye nādānī nahīñ jaatī

vahāñ dil le chalā hai phir vahī ik baat kahne ko

kahī jaatī hai jo aksar magar maanī nahīñ jaatī

ḳhudāvandā phir āḳhir kyā tamannā hai mire dil

vo pahlū meñ bhī haiñ lekin pareshānī nahīñ jaatī

kiyā thā maiñ ne shikva aap ne āñkheñ jhukā thiiñ

huī muddat magar ab tak pashemānī nahīñ jaatī

vahī hai apnī rindī aur vahī vaa.iz fahmā.ish

burī aadat koī bhī ho ba-āsānī nahīñ jaatī

Top Urdushayar.com