Iffat abbas

rah-e-justuju mein bhaTak gae to kisi se koi gila nahin

Iffat abbas

Chhapra, Bihar, India

1963

rah-e-justujū meñ bhaTak ga.e to kisī se koī gilā nahīñ

ki ham us ke ho ke na sake vo hamārā ban ke milā nahīñ

mire fikr-o-fan pe muhīt hai jo tasavvur ek ḳhudā-numā

hai talāsh us nahīñ pata vo ḳhudā bhī hai ki ḳhudā nahīñ

jo milī nahīñ mujhe āgahī hai mirī nigāh se ajnabī

ho rag-e-gulū se qarīb bhī to yahī kaheñge milā nahīñ

jo basīr ho vo nazar bhī de mujhe āgahī hunar bhī de

magar ab merī ḳhabar bhī de ki mujhe ḳhud apnā pata nahīñ

haiñ 'shahāb' mere havās gum ki har ek shab hai shab-e-dahum

jo bujhā to bujh ke rah gayā hai charāġh phir se jalā nahīñ

Top Urdushayar.com