vo  nahīñ  jāntā  hai  jab  kuchh  bhī
us  se  kahnā  hai  be-sabab  kuchh  bhī
kaun  apnā  hai  kaun  begāna
ham  ko  ma.alūm  hai  ye  sab  kuchh  bhī
be-ġharaz  ho  ke  sab  se  milte  haiñ
ham  ki  rakhte  haiñ  be-talab  kuchh  bhī
jab  bhī  miltā  hai  muskurātā  hai
ḳhvāh  us  kā  ho  ab  sabab  kuchh  bhī
ham  bhī  mil  kar  bichhaḌ  ga.e  us  se
baat  aisī  nahīñ  ajab  kuchh  bhī
aadmī  kā  amal  se  rishta  hai
kaam  aatā  nahīñ  nasab  kuchh  bhī
laakh  zulmat  kā  bol-bālā  ho
do-ghaḌī  meñ  na  hogī  shab  kuchh  bhī
aisā  duniyā  se  jī  ulajhtā  hai
nahīñ  duniyā  meñ  jaise  ab  kuchh  bhī
log  qismat  pe  chhoḌ  dete  haiñ
baat  bantī  nahīñ  hai  jab  kuchh  bhī
jo  nahīñ  chāhte  the  ham  kahnā
us  se  kahnā  paḌā  vo  sab  kuchh  bhī
zehn  maflūj  ho  gayā  shāyad
yaad  rahtā  nahīñ  hai  ab  kuchh  bhī
vo  kisī  kā  adab  nahīñ  karte
jo  nahīñ  jānte  adab  kuchh  bhī
us  ke  dil  se  utar  ga.e  'nādir'
tum  ko  aatā  nahīñ  hai  Dhab  kuchh  bhī