Athar Nadir

kaTa na koh-e-alam humse kohkan ki tarah

Athar Nadir

Ghazipur, Uttar pradesh, India

1928
kaTā na koh-e-alam ham se kohkan kī tarah
badal sakā na zamāna tire chalan kī tarah
hazār baar kiyā ḳhūn-e-ārzū ham ne
jabīn-e-dahr pe phir bhī rahe shikan kī tarah
savād-e-shab kī ye tanhā.iyāñ bhī Dastī haiñ
ye chāñdnī bhī nazar aatī hai kafan kī tarah
tamām shahar hai begāna log nā-mānūs
vatan meñ apne haiñ ham ek be-vatan kī tarah
ḳhayāl-e-dost na hasrat na aarzū na ummīd
ye dil hai ab kisī ujḌe hue chaman kī tarah
sukūn-e-qalb to kiyā hai qarār-e-jāñ bhī luTā
tumhārī yaad bhī aa.ī to rāhzan kī tarah
ajab nahīñ ki sar-e-shahr-e-ārzū 'nādir'
hamārā dil bhī jale sham-e-anjuman kī tarah
Top Urdushayar.com