Athar Nadir

kaTa na koh-e-alam humse kohkan ki tarah

Athar Nadir

Ghazipur, Uttar pradesh, India

1928

kaTā na koh-e-alam ham se kohkan tarah

badal sakā na zamāna tire chalan tarah

hazār baar kiyā ḳhūn-e-ārzū ham ne

jabīn-e-dahr pe phir bhī rahe shikan tarah

savād-e-shab ye tanhā.iyāñ bhī Dastī haiñ

ye chāñdnī bhī nazar aatī hai kafan tarah

tamām shahar hai begāna log nā-mānūs

vatan meñ apne haiñ ham ek be-vatan tarah

ḳhayāl-e-dost na hasrat na aarzū na ummīd

ye dil hai ab kisī ujḌe hue chaman tarah

sukūn-e-qalb to kiyā hai qarār-e-jāñ bhī luTā

tumhārī yaad bhī aa.ī to rāhzan tarah

ajab nahīñ ki sar-e-shahr-e-ārzū 'nādir'

hamārā dil bhī jale sham-e-anjuman tarah

Top Urdushayar.com