girdāb-e-reg-e-jān  se  mauj-e-sarāb  tak
zinda  hai  to  lahū  meñ  bas  ik  iztirāb  tak
ik  maiñ  ki  ek  ġham  kā  taqāzā  na  kar  sakā
ik  vo  ki  us  ne  maañg  liye  apne  ḳhvāb  tak
tū  lafz  lafz  lazzat-e-hijrāñ  meñ  hai  abhī
ham  aa  ga.e  haiñ  hijrat-e-ġham  ke  nisāb  tak
jo  zer-e-āb-e-mauj-e-ravāñ  hai  ḳhurūj-e-āb
aa  jaa.e  ek  roz  agar  sat.h-e-āb  tak
miltā  kahīñ  savād-e-varūd-o-shahūd  meñ
hotā  mirī  hudūd  kā  koī  hisāb  tak
terā  hī  raqs  silsila-e-aks-e-ḳhvāb  hai
is  ashk-e-nīm-shab  se  shab-e-māhtāb  tak
āsār-e-ahd-e-ġham  haiñ  tah-e-reg-e-jāñ  ki  tū
pahuñchā  nahīñ  abhī  dil-e-ḳhāna-ḳharāb  tak