rah  gayā  dīda-e-pur-āb  kā  sāmāñ  ho  kar
vo  jo  rahtā  thā  mire  saath  mirī  jaañ  ho  kar
jaane  kis  shoḳh  ke  āñchal  ne  sharārat  kī  hai
chāñd  phirtā  hai  sitāroñ  meñ  pareshāñ  ho  kar
āte-jāte  hue  dastak  kā  takalluf  kaisā
apne  ghar  meñ  bhī  koī  aatā  hai  mehmāñ  ho  kar
ab  to  mujh  ko  bhī  nahīñ  miltī  mirī  koī  ḳhabar
kitnā  gumnām  huā  huuñ  maiñ  numāyāñ  ho  kar
vo  mire  sahn  meñ  utre  haiñ  ujāle  kahiye
shaam  taktī  hai  dar-o-bām  ko  hairāñ  ho  kar
maiñ  ne  us  shaḳhs  se  sīkhā  hai  takallum  kā  hunar
vo  jo  mahfil  meñ  bhī  rahtā  thā  gurezāñ  ho  kar
ujḌī  ujḌī  sī  havā  ḳhāk-ba-sar  aatī  hai
shaam  utrī  hai  kahīñ  shām-e-ġharībāñ  ho  kar
ek  hañgāma  sā  yādoñ  kā  hai  dil  meñ  'az.har'
kitnā  ābād  huā  shahr  ye  vīrāñ  ho  kar