ek  ik  saañs  meñ  sadiyoñ  kā  safar  kāTte  haiñ
ḳhauf  ke  shahr  meñ  rahte  haiñ  so  Dar  kāTte  haiñ
pahle  bhar  lete  haiñ  kuchh  rañg  tumhāre  us  meñ
aur  phir  ham  usī  tasvīr  kā  sar  kāTte  haiñ
ḳhvāb  muTThī  meñ  liye  phirte  haiñ  sahrā  sahrā
ham  vahī  log  haiñ  jo  dhuup  ke  par  kāTte  haiñ
sauñp  kar  us  ko  tire  dard  ke  saare  mausam
phir  usī  lamhe  ko  ham  zindagī-bhar  kāTte  haiñ
tū  nahīñ  hai  to  tire  shahr  kī  tasvīr  meñ  ham
saare  vīrāne  banā  dete  haiñ  ghar  kāTte  haiñ
us  kī  yādoñ  ke  parindoñ  ko  uḌā  kar  'az.har'
dil  se  ab  dard  kā  ik  ek  shajar  kāTte  haiñ