kināroñ  se  judā  hotā  nahīñ  tuġhyāniyoñ  kā  dukh
na.ī  maujoñ  meñ  rahtā  hai  purāne  pāniyoñ  kā  dukh
kahīñ  muddat  huī  us  ko  gañvāyā  thā  magar  ab  tak
mirī  āñkhoñ  meñ  hai  un  be-sar-o-sāmāniyoñ  kā  dukh
to  kyā  tū  bhī  mirī  ujḌī  huī  bastī  se  guzrā  hai
to  kyā  tū  ne  bhī  dekhā  hai  mirī  vīrāniyoñ  kā  dukh
shikast-e-ġham  ke  lamhoñ  meñ  jo  ġham-ālūd  ho  jaa.eñ
zamīñ  hāthoñ  pe  le  letī  hai  un  peshāniyoñ  kā  dukh
miyān-e-aks-o-ā.īna  abhī  kuchh  gard  baaqī  hai
abhī  pahchān  meñ  aayā  nahīñ  hairāniyoñ  kā  dukh
maiñ  pahle  DhūñDhtā  huuñ  ik  zarā  āsāniyāñ  aur  phir
baḌī  mushkil  meñ  rakhtā  hai  mujhe  āsāniyoñ  kā  dukh