afsurdagī-e-dard-e-farāqat  hai  sahar  tak
ye  shaam  to  ik  shām-e-qayāmat  hai  sahar  tak
koī  to  añdheroñ  meñ  ujāloñ  kā  sabab  ho
maanā  ki  charāġhoñ  kī  haqīqat  hai  sahar  tak
ab  ham  pe  jo  aa.ī  to  kisī  taur  na  guzrī
sunte  the  shab-e-ġham  kī  tavālat  hai  sahar  tak
phir  raakh  bhī  ho  jaa.eñ  to  ho  jaa.eñ  balā  se
āñkhoñ  ke  havāloñ  kī  zarūrat  hai  sahar  tak
jis  raat  khulā  mujh  pe  vo  mahtāb  kī  sūrat
vo  raat  sitāroñ  kī  amānat  hai  sahar  tak
sūraj  pe  hukūmat  hai  yahāñ  dīda-varoñ  kī
sīnoñ  kī  sulagne  kī  ijāzat  hai  sahar  tak
gūñjegā  har  ik  halqa-e-zanjīr-e-asīrāñ
ḳhāmoshī-e-zindāñ  kī  aziyyat  hai  sahar  tak
ye  raqs-e-balā  sāz-e-junūñ-ḳhez  pe  'az.har'
ye  mahfil-e-hañgāma-e-vahshat  hai  sahar  tak