shahr  gum-sum  rāste  sunsān  ghar  ḳhāmosh  haiñ
kyā  balā  utrī  hai  kyuuñ  dīvār-o-dar  ḳhāmosh  haiñ
vo  khuleñ  to  ham  se  rāz-e-dasht-e-vahshat  kuchh  khule
lauT  kar  kuchh  log  aa.e  haiñ  magar  ḳhāmosh  haiñ
ho  gayā  ġharqāb  sūraj  aur  phir  ab  us  ke  ba.ad
sāhiloñ  par  ret  uḌtī  hai  bhañvar  ḳhāmosh  haiñ
manziloñ  ke  ḳhvāb  de  kar  ham  yahāñ  laa.e  ga.e
ab  yahāñ  tak  aa  ga.e  to  rāhbar  ḳhāmosh  haiñ
dukh  safar  kā  hai  ki  apnoñ  se  bichhaḌ  jaane  kā  ġham
kyā  sabab  hai  vaqt-e-ruḳhsat  ham-safar  ḳhāmosh  haiñ
kal  shajar  kī  guftugū  sunte  the  aur  hairat  meñ  the
ab  parinde  bolte  haiñ  aur  shajar  ḳhāmosh  haiñ
jab  se  'az.har'  ḳhāl-o-ḳhad  kī  baat  logoñ  meñ  chalī
aa.ine  chup-chāp  haiñ  ā.īna-gar  ḳhāmosh  haiñ