chāk-e-dāmān-e-qabā  dāġh-e-junūñ-sāz  bahut
ham  ne  paa.e  haiñ  dar-e-yār  se  e.azāz  bahut
ham  se  pūchho  ki  ġham-e-furqat-e-yārāñ  kyā  hai
ham  ne  dekhe  haiñ  shab-e-hijr  ke  andāz  bahut
raat  bhar  chāñd  se  hotī  raheñ  terī  bāteñ
raat  khole  haiñ  sitāroñ  ne  tire  raaz  bahut
aaj  kyuuñ  pahlī  sī  kuchh  vahshat-e-dil  koī  nahīñ
aaj  maddham  hai  shab-e-ġham  tirā  āġhāz  bahut
ek  ham  hī  ne  sameTī  hai  udāsī  terī
shām-e-ġham  ham  ne  uThā.e  haiñ  tire  naaz  bahut