dar-pesh  nahīñ  naql-e-makānī  ka.ī  din  se
aa.ī  na  tabī.at  meñ  ravānī  ka.ī  din  se
phir  ret  ke  dariyā  pe  koī  pyāsā  musāfir
likhtā  hai  vahī  ek  kahānī  ka.ī  din  se
dushman  kā  kināre  pe  baḌā  saḳht  hai  pahrā
aayā  na  mire  shahr  meñ  paanī  ka.ī  din  se
sauñpe  the  kahāñ  dhuup  ke  mausam  ko  ghane  peḌ
maiñ  DhūñDh  rahā  huuñ  vo  nishānī  ka.ī  din  se
shāyad  koī  bhaTkā  hai  vahāñ  qāfila  'az.har'
sahrā  ne  mirī  ḳhaak  na  chhānī  ka.ī  din  se