utar  kar  pāniyoñ  meñ  chāñd  mahv-e-raqs  rahtā  hai
mirī  āñkhoñ  meñ  kuchh  is  taur  koī  shaḳhs  rahtā  hai
ajab  hairat  hai  akasr  dekhtā  hai  mere  chehre  ko
ye  kis  nā-āshnā  kā  aa.ine  meñ  aks  rahtā  hai
mirī  bastī  kā  koī  ghar  bhī  ghar  jaisā  nahīñ  lagtā
kahīñ  ta.amīr-e-bām-o-dar  meñ  koī  naqs  rahtā  hai
jamī  hai  gard  āñkhoñ  meñ  ka.ī  gumnām  barsoñ  kī
mire  andar  na  jaane  kaun  būḌhā  shaḳhs  rahtā  hai
chalo  bād-e-sabā  ko  jañgaloñ  se  DhūñDh  kar  laa.eñ
fasīl-e-shahr  meñ  'az.har'  balā  kā  habs  rahtā  hai