Nahid Akhtar Balooch

zulm chakkha ya be-hisi chakkhi

Nahid Akhtar Balooch

Dera Ismail khan, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1987

zulm chakkhā be-hisī chakkhī

kyā kabhī tum ne bebasī chakkhī

maut miltī rahī piyāla bhar

ek ghūñT zindagī chakkhī

chāñd jab shāḳh pe utar aayā

tab daraḳhtoñ ne chāñdnī chakkhī

rakh ke uñglī zabān par us

aaj thoḌī raushnī chakkhī

shahd zā.iqa to chakkhā hai

kyā kabhī aañkh sharbatī chakkhī

us lahja samā.atoñ meñ ghulā

jaise kānoñ ne shā.irī chakkhī

sāmne rakh ke chaa.e pyālī

chuskī chuskī tirī kamī chakkhī

aaj āñkhoñ ne us ko dekhā thā

aaj palkoñ ne phir namī chakkhī

chuum kar ik gulāb chehra

titliyoñ ne bhī dilkashī chakkhī

Top Urdushayar.com