Nahid Akhtar Balooch

kisi ki aankh Khaali ho gai thi

Nahid Akhtar Balooch

Dera Ismail khan, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1987
kisī kī aañkh ḳhālī ho ga.ī thī
mohabbat itnī mahñgī ho ga.ī thī
tujhe jaate samay itnā pukārā
mirī āvāz zaḳhmī ho ga.ī thī
zarā sā muskurā ke us ne dekhā
fazā saarī gulābī ho ga.ī thī
vo jis din rāsta badlā thā tū ne
mirī har raah khoTī ho ga.ī thī
use raajā nahīñ mil paayā to phir
vo ḳhud hī apnī raanī ho ga.ī thī
hamāre haath nīche gir ga.e the
tirī dīvār ūñchī ho ga.ī thī
adhūre ḳhvāb se pīchhā chhuḌāyā
mujhe ab niiñd pyārī ho ga.ī thī
use janmā thā maiñ ne dukh uThā ke
parā.ī kaise beTī ho ga.ī thī
tumhārī raah takte thak ga.ī jab
vo kaalī aañkh niilī ho ga.ī thī
Top Urdushayar.com