Anand Narayan Mulla

mere jigar ki tab dekh ruKH ki shikastagi na dekh

Anand Narayan Mulla

Lucknow, Uttar pradesh, India

1901-1997

mire jigar taab dekh ruḳh shikastagī na dekh

fitrat-e-āshiqī samajh qismat-e-āshiqī na dekh

aur nazar vasī.a kar pesh-e-nigāh na dekh

maut meñ DhūñD zindagī ziist meñ nīstī na dekh

jaise har ik nafas nafas nok-e-sināñ liye hue

ishq ḳhvāb dekh le ishq zindagī na dekh

maiñ to sarā-e-shauq meñ dil kañval jalā chukā

ab ye tirī ḳhushī ki dekh ki raushnī na dekh

ek usuul yaad rakh sālik-e-rāh-e-zindagī

naqsh-o-nigār-e-dahr dekh muḌ ke magar kabhī na dekh

apnī nigāh pher le haañ ye mujhe qubūl hai

rakh mirī aarzū sharm-e-shauq bebasī na dekh

tujh pe ayaañ hai rāz-e-dil jaan ke bin na be-ḳhabar

ma.anī-e-ḳhāmushī samajh sūrat-e-ḳhāmushī na dekh

'mullā' ye kyā lagā liyā dil ko hañsī hañsī meñ rog

baat batā rahe the jo ho ke rahī vahī na dekh

Top Urdushayar.com