Anand Narayan Mulla

jahan ko abhi tab-e-ulfat nahin hai

Anand Narayan Mulla

Lucknow, Uttar pradesh, India

1901-1997

jahāñ ko abhī tāb-e-ulfat nahīñ hai

bashar meñ abhī ādamiyat nahīñ hai

takalluf agar hai haqīqat nahīñ hai

tasanño zabān-e-mohabbat nahīñ hai

zarūrī ho jis ke liye ek dozaḳh

vo mere tasavvur jannat nahīñ hai

mire dil meñ ik to hai tujh se hasīñ-tar

mujhe ab tirī kuchh zarūrat nahīñ hai

mohabbat yaqīnan ḳhilāf-e-ḳhirzad hai

magar aql ik haqīqat nahīñ hai

use ek betābī-e-shauq samjho

taġhāful shikva shikāyat nahīñ hai

mujhe kar ke chup koī kahtā hai hañs kar

unheñ baat karne aadat nahīñ hai

kabhī ho sakegā na 'mullā' īmāñ

jis īmāñ meñ dil nubuvvat nahīñ hai

Top Urdushayar.com