qazā  kā  vaqt  ruḳhsat  kī  ghaḌī  hai
zarā  Thahro  ki  ye  manzil  kaḌī  hai
jise  tum  chhoḌ  kar  ruḳhsat  hue  the
vo  bastī  aaj  tak  suunī  paḌī  hai
abhī  tak  dil  ke  vīrāne  meñ  jaise
tamannā  haath  phailā.e  khaḌī  hai
mire  dushman  bhī  ab  to  aa  rahe  haiñ
tumheñ  kis  vaqt  jaane  kī  paḌī  hai
tumhāre  dard-mandoñ  kī  ḳhabar  le
ġham-e-daurāñ  ko  aisī  kyā  paḌī  hai
kisī  kī  yaad  'saif'  aur  dil  kī  hālat
ghanā  jañgal  akelī  jhoñpaḌī  hai