kyuuñ  ujaḌ  jaatī  hai  dil  kī  mahfil
ye  diyā  kaun  bujhā  detā  hai
vo  nahīñ  dekhte  sāhil  kī  taraf
jin  ko  tūfān  sadā  detā  hai
shor  din  ko  nahīñ  sone  detā
shab  ko  sannāTā  jagā  detā  hai
tum  to  kahte  the  ki  rut  kā  jaadū
dasht  meñ  phuul  khilā  detā  hai
us  kī  marzī  hai  vo  har  rāhat  meñ
rañj  thoḌā  sā  milā  detā  hai
dukh  to  detā  hai  tirā  ġham  lekin
dil  ko  iksīr  banā  detā  hai
tujh  se  pahle  dil-e-betāb  mujhe
terī  aamad  kā  patā  detā  hai
jān-e-man  ek  hasīñ  chehra  bhī
saarī  mahfil  ko  sajā  detā  hai
ab  tasallī  bhī  aziyyat  hai  mujhe
ab  dilāsā  bhī  rulā  detā  hai