koī  nahīñ  aatā  samjhāne
ab  ārām  se  haiñ  dīvāne
tai  na  hue  dil  ke  vīrāne
thak  kar  baiTh  ga.e  dīvāne
majbūrī  sab  ko  hotī  hai
milnā  ho  to  laakh  bahāne
ban  na  sakī  ahbāb  se  apnī
vo  daanā  the  ham  dīvāne
na.ī  na.ī  ummīdeñ  aa  kar
chheḌ  rahī  haiñ  zaḳhm  purāne
jalva-e-jānāñ  kī  tafsīreñ
ek  haqīqat  laakh  fasāne
duniyā  bhar  kā  dard  sahā  hai
ham  ne  tere  ġham  ke  bahāne
phir  vahshat  aa.ī  suljhāne
hosh  o  ḳhirad  ke  tāne-bāne
phir  apne  āñchal  se  havā  dī
sho.ala-e-gul  ko  bād-e-sabā  ne
phir  vo  Daal  ga.e  dāman  meñ
dard  kī  daulat  ġham  ke  ḳhazāne
aaj  phir  āñkhoñ  meñ  phirte  haiñ
ahd-e-tamannā  ke  vīrāne
phir  tanhā.ī  pūchh  rahī  hai
kaun  aa.e  dil  ko  bahlāne
'saif'  vo  ġham  bhī  tishna-e-ḳhūñ  hai
ham  zinda  haiñ  jis  ke  bahāne