ruḳh  pe  yuuñ  jhuum  kar  vo  laT  jaa.e
ḳhizr  dekhe  to  umr  kaT  jaa.e
us  nazāre  se  kyā  bache  koī
jo  nigāhoñ  se  ḳhud  lipaT  jaa.e
ye  bhī  andher  ham  ne  dekhā  hai
raat  ik  zulf  meñ  simaT  jaa.e
jaane  tujh  se  udhar  bhī  kyā  kuchh  hai
kaash  tū  sāmne  se  haT  jaa.e
maut  ne  khel  ham  ko  jaanā  hai
kabhī  aa.e  kabhī  palaT  jaa.e
Dūbne  tak  meñ  nā-umīd  nahīñ
kab  na  jaane  havā  palaT  jaa.e
raat  guzre  na  dard-e-dil  Thahre
kuchh  to  baḌh  jaa.e  kuchh  to  ghaT  jaa.e
un  se  kah  kar  bhī  dekh  leñ  ġham-e-dil
'saif'  ye  kaam  bhī  nipaT  jaa.e