D. Raj Kanwal

duniya patthar phenk rahi hai jhunjhla kar farzanon par

D. Raj Kanwal

Sultanpur Lodhi, Punjab, India

1923

duniyā patthar pheñk rahī hai jhuñjhlā kar farzānoñ par

ab vo kyā ilzām dharegī ham jaise dīvānoñ par

dil kaliyāñ afsurda har chehra māyūs magar

baaġh mahakte dekh rahā huuñ ghāToñ par shamshānoñ par

patthar dil haiñ log yahāñ ke ye patthar kyā pighleñge

kis ne bārish hote dekhī tapte registānoñ par

jin ek nazar ke badle ham ne duniyā Thukrā

naam hamārā sun kar rakkheñ haath vo apne kānoñ par

aaheñ aañsū pesh kiye to ghabrā ke muñh pher liyā

un ko shāyad ġhussa aayā mere in nazrānoñ par

kyā taqdīr shikva yaaro apnī apnī qismat hai

apnā haath gayā hai aksar TuuTe se paimānoñ par

aaj 'kañval' ham kuchh bhī kah leñ baat magar ye sachchī hai

aaj ik ik pal bhārī hai pichhle ka.ī zabānoñ par

Top Urdushayar.com