Maqsood Afaq

nashat-e-sahra-nawardi ka haal bolta hai

Maqsood Afaq

1991

nashāt-e-sahrā-navardī haal boltā hai

hamārā shauq hamīñ ko niDhāl boltā hai

urūj-e-dilbarī hasrat se dekhne vaale

vo sun jo silsila-e-pā.emāl boltā hai

ye kyā sitam hai ki ab us sāmnā hogā

jo lab hilā.e binā bhī kamāl boltā hai

bhañvar ko ek kināra samajh rahā huuñ maiñ

kisī ke hone kyā ehtimāl boltā hai

zamāne bhar ko maiñ dil se nikāl detā huuñ

zamāna jab tujhe dil se nikāl boltā hai

haqīqī āñkhoñ se dekhā gayā hai ye manzar

mire sukūt se terā ḳhayāl boltā hai

abhī na dekheñge ham aane vaale kal taraf

abhī to guzre zamānoñ haal boltā hai

Top Urdushayar.com