maiñ  hajv  ik  apne  har  qasīde  kī  rad  meñ  tahrīr  kar  rahā  huuñ
ki  āp-apne  se  huuñ  muḳhātab  ḳhud  apnī  tahqīr  kar  rahā  huuñ
kahāñ  hai  fursat  nashāt  o  ġham  kī  ki  ḳhud  ko  tasḳhīr  kar  rahā  huuñ
lahū  meñ  girdāb  Dāltā  huuñ  nafas  ko  shamshīr  kar  rahā  huuñ
mirī  kahānī  raqam  huī  hai  havā  ke  aurāq-e-muntashir  par
maiñ  ḳhaak  ke  rañg-e-ġhair-fānī  ko  apnī  tasvīr  kar  rahā  huuñ
maiñ  sañg-o-ḳhisht-e-anā  kī  bārish  meñ  kab  kā  mismār  ho  chukā  huuñ
ab  inkisārī  kī  narm  miTTī  se  apnī  ta.amīr  kar  rahā  huuñ
ye  ishq  kī  hai  fusūñ-tarāzī  ki  vahshatoñ  kī  karishma-sāzī
kamand  ḳhushbū  pe  Dāltā  huuñ  havā  ko  zanjīr  kar  rahā  huuñ
shanvā-varī  ke  usuul  mujh  ko  batā.egā  koī  kyā  ki  maiñ  ne
kiyā  hai  maujoñ  kā  ḳhair-maqdam  bhañvar  kī  tauqīr  kar  rahā  huuñ
tum  apne  dariyāoñ  par  biThāo  hazār  pahre  magar  mujhe  kyā
maiñ  saare  ḳhvāboñ  ko  sab  sarāboñ  ko  apnī  jāgīr  kar  rahā  huuñ