Ahmad Ata

ek ashk baha hoga

Ahmad Ata

ik ashk bahā hogā
ik sher huā hogā
chup-chāp paḌe haiñ ham
dil raakh huā hogā
ik ḳhvāb sahārā thā
vo TuuT gayā hogā
dil ne to un āñkhoñ par
ilzām dharā hogā
hai ishq to hai ham-kesh
dil meñ koī thā hogā
kyā nuur thā paanī meñ
āñkhoñ se bahā hogā
phir yaar nahīñ aa.e
phir jaam dharā hogā
ik sho.ala fuzūñ ho kar
jaltā bhī rahā hogā
shab ḳhvāb meñ aayā vo
kyā kyā na huā hogā
tāsīr kahāñ sach meñ
kuchh jhuuT kahā hogā
is dil ke ḳharābe meñ
ik shahr basā hogā
muTThī meñ hai dil kaise
raste meñ milā hogā
kahne kī nahīñ bāteñ
bātoñ se bhī kyā hogā
ik ḳhvāb-e-tamannā ne
barbād kiyā hogā
vo soḳhtā-sar thā kaun
hogā to 'atā' hogā
Top Urdushayar.com