Ahmad Ata

ye mera wahm to kuchh aur suna jata hai

Ahmad Ata

ye mirā vahm to kuchh aur sunā jaatā hai
ik gumāñ hai ki tirā aks dikhā jaatā hai
ek tasvīr dil-e-hijr-zada meñ hai tirī
ek tasvīr koī aur banā jaatā hai
terī minnat bhī mirī jaañ baḌī kī jaatī hai
zer-e-lab ek vazīfa bhī paḌhā jaatā hai
chāñd ne mujh pe kamāñ ek tanī hotī hai
tiir lagtā nahīñ kis or chalā jaatā hai
tū jo aatā hai mahaktā huuñ gulāboñ kī tarah
aur tirā ḳhvāb jab aatā hai rulā jaatā hai
jāntā huuñ na ta.alluq na zarūrat hai tujhe
tujh ko ye kaun mire paas biThā jaatā hai
ik javāñ us kī galī meñ jo gayā maarā gayā
ye fasāna hai magar kis se sunā jaatā hai
Top Urdushayar.com