Ahmad Ata

bebasi aisi bhi hoti hai bhala

Ahmad Ata

bebasī aisī bhī hotī hai bhalā

zindagī aisī bhī hotī hai bhalā

raushnī ab mere ashkoñ se hai bas

tīrgī aisī bhī hotī hai bhalā

hañste hañste ho gayā barbād maiñ

ḳhush-dilī aisī bhī hotī hai bhalā

chīḳhtā rahtā huuñ aksar be-sabab

bekasī aisī bhī hotī hai bhalā

rahā huuñ maiñ use dekhe baġhair

be-hisī aisī bhī hotī hai bhalā

pūchhte ho aib auroñ se mire

dostī aisī bhī hotī hai bhalā

zindagī aisī hotī hai bha.ī

zindagī aisī bhī hotī hai bhalā

rañg chehre pe lahrāte haiñ ab

jāñ-kanī aisī bhī hotī hai bhalā

haiñ lahū būñdeñ ab merī sipāh

sar-kashī aisī bhī hotī hai bhalā

ek sūrat yahāñ chāroñ taraf

raushnī aisī bhī hotī hai bhalā

gaal jhulse rahe haiñ kyuuñ mire

chāñdnī aisī bhī hotī hai bhalā

Top Urdushayar.com