Ahmad Ata

ishq se bhag ke jaya bhi nahin ja sakta

Ahmad Ata

ishq se bhaag ke jaayā bhī nahīñ saktā

naqsh-e-yak-ḳhvāb miTāyā bhī nahīñ saktā

ham use dekh ke nazreñ bhī haTā sakte nahīñ

aur use dekhne jaayā bhī nahīñ saktā

vo kahīñ ḳhvāb meñ poshīda koī ḳhvāb sahī

der tak dard dabāyā bhī nahīñ saktā

zer-e-lab haiñ jo sadā.eñ koī suntā nahīñ

aur bahut shor machāyā bhī nahīñ saktā

dil chhupāyā kisī titlī ke paroñ ke nīche

ye chhupānā to chhupāyā bhī nahīñ saktā

raat ne giit sunāyā thā kisī sub.h giit

giit aisā kahīñ gaayā bhī nahīñ saktā

ik nayā rañg uḌāyā hai in ā.ankhoñ se 'atā'

rañg rañgoñ meñ milāyā bhī nahīñ saktā

Top Urdushayar.com