Ahmad Ata

main teri manta lekin jo mera dil hai na

Ahmad Ata

maiñ tirī māntā lekin jo mirā dil hai nā
dar kā patthar hai haTānā ise mushkil hai nā
ye tirā husn kuchh aisā nahīñ pūjeñ jis ko
lekin ai yaar tire gaal kā jo til hai nā
jo mire vāste din raat duā karte haiñ
dushman-e-jāñ ye batā un meñ tū shāmil hai nā
māñgnā aatā nahīñ aur ḳhudā kahtā hai
ai farishto ise dekho ye jo saa.il hai nā
zindagī ishq meñ guzre to qasīda likkhūñ
ki vahī ek qasīda tire qābil hai nā
Top Urdushayar.com