Mukhtar Hashmi

nazar-nawaz hai husn-e-KHajista-pai ab bhi

Mukhtar Hashmi

nazar-navāz hai husn-e-ḳhajista-pai ab bhī
khaTak rahī hai magar dil meñ koī shai ab bhī
ba-qaid-e-tauba vahī ehtirām hai ab bhī
mirī nazar meñ hai ḳhurshīd-e-jām-e-mai ab bhī
maiñ ġharq-e-be-ḳhudī-e-shauq hī sahī lekin
tumheñ pukār luuñ itnā to hosh hai ab bhī
ye zarf hai mirā ai rāhbar-numā rahzan
ki chal rahā huuñ tire saath pai-ba-pai ab bhī
ġhalat nahīñ ki ho tum jāda-āzmā-e-haram
na hogī rāh-e-vafā shaiḳh tum se tai ab bhī
vo soz-o-sāz-e-ġham-e-ishq ab kahāñ lekin
nikaltī hai mire naġhmoñ se ġham kī lai ab bhī
kabhī idhar se koī nai-navāz guzrā thā
fazā meñ guuñj rahī hai sadā-e-nai ab bhī
Top Urdushayar.com