ḳhvāb-o-ḳhayāl  ho  ga.e  yārāne  kis  tarah
pal-bhar  meñ  log  ban  ga.e  anjāne  kis  tarah
kyuuñ  kar  ḳhulūs-o-shauq  meñ  badleñgī  nafrateñ
ye  fāsle  miTeñge  ḳhudā-jāne  kis  tarah
bolo  zabāñ  se  tum  na  koī  guftugū  karo
dil  kā  tumhāre  haal  koī  jaane  kis  tarah
maiñ  kiyā  ki  ek  chehra  huuñ  jamm-e-ġhafīr  meñ
vo  mujh  ko  is  hujūm  meñ  pahchāne  kis  tarah
majnūñ  to  ek  naam  thā  gard-o-ġhubār  kā
dil  meñ  basā  liyā  use  lailā  ne  kis  tarah
ḳhud  apne  hī  vajūd  se  vahshat-zada  haiñ  log
ābādiyoñ  meñ  aa  ga.e  vīrāne  kis  tarah
iqbāl  tum  ne  jo  bhī  kahā  sach  kahā  magar
sach  baat  bhī  tumhārī  koī  maane  kis  tarah