Iqbal Haidri

zehn-e-rasa ko auj-e-falak tak uDan de

Iqbal Haidri

zehn-e-rasā ko auj-e-falak tak uḌaan de

jo dil meñ jāguzīñ ho vo tarz-e-bayān de

harf-e-suḳhan de aisā ki durr-e-yatīm ho

de tamkanat zabān meñ lahje meñ shaan de

arz-o-samā vus.ateñ ab mujh pe tañg haiñ

mujh ko na.ī zamīn nayā āsmān de

tūfān abr-o-bād meñ sab haiñ ghire hue

kashtī ko de to kis ḳhabar bādbān de

dar pe haiñ tere ḳhuun ke ye tājirān-e-zar

mat yuuñ kisī ke vāste apnī jaan de

maazī sā.atoñ ko bulātā huuñ is tarah

jaise koī ujaaḌ gharoñ meñ azaan de

ye jism ye bhabhūkā qabā tār-tār

'iqbāl' apne haal pe thoḌā to dhyān de

Top Urdushayar.com