Erum  Zehra

main kai barson se teri justuju karti rahi

Erum Zehra

Karachi, Sindh, Pakistan

1982

maiñ ka.ī barsoñ se terī justujū kartī rahī

is safar meñ ārzūoñ lahū kartī rahī

kyā ḳhabar tujh ko guzārī kaise maiñ ne shām-e-ġham

āñsuoñ paanī le kar maiñ vuzū kartī rahī

jab tirī yādoñ ne mujh ko niim pāgal kar diyā

maiñ tirī tasvīr se guftugū kartī rahī

kis tarah apnī tamannāoñ maiñ kartī shumār

bas tujhe paane har-dam aarzū kartī rahī

dil ke darvāze pe jab bhī yaad dastak huī

maiñ tasavvur meñ jigar apnā rafū kartī rahī

dil dhaḌkan kah rahī hai achānak aa.egā

ḳhud ko din-bhar ā.īne ke rū-ba-rū kartī rahī

sochnā bhī mat kabhī tujh ko bhulā degī 'iram'

vasl ḳhvāhish har ik lamha numū kartī rahī

Top Urdushayar.com