siine  ke  daaġh  un  ko  dikhā.e  na  jā  sake
mujh  se  fasāne  ġham  ke  sunā.e  na  jā  sake
aise  nagar  meñ  merā  muqaddar  huā  muqīm
jis  meñ  ḳhushī  ke  diip  jalā.e  na  jā  sake
aivān-e-sabr  aaj  zamīñ-bos  ho  gayā
palkoñ  meñ  ashk  mujh  se  chhupā.e  na  jā  sake
ham  ne  to  ḳhūn-e-dil  se  khilā.e  haiñ  gulistāñ
tum  se  to  ḳhār-o-ḳhas  bhī  ugaa.e  na  jā  sake
gulshan  jo  thā  ḳhulūs  kā  yaksar  jhulas  gayā
jab  nafratoñ  ke  sho.ale  bujhā.e  na  jā  sake
bār-e-garāñ  uThātā  rahā  huuñ  magar  'valī'
ehsāñ  kisī  ke  mujh  se  uThā.e  na  jā  sake