bahut  TuuTā  huuñ  lekin  hausla  zinda  bahut  kuchh  hai
mire  andar  abhī  īsār  kā  jazba  bahut  kuchh  hai
atā  kī  hai  usī  ne  zindagī  ko  karb  kī  daulat
magar  is  meñ  mire  dil  kā  bhī  sarmāya  bahut  kuchh  hai
bachātā  hai  kahāñ  ye  dopahar  kī  dhuup  se  ham  ko
yuuñ  kahne  ko  yahāñ  dīvār  kā  saaya  bahut  kuchh  hai
mohabbat  kā  jise  aaseb  kahte  haiñ  jahāñ  vaale
mire  dil  par  isī  aaseb  kā  saaya  bahut  kuchh  hai
vo  aayā  hai  na  aa.egā  bujhā  de  yaad  kī  sham.eñ
dil-e-nādāñ  ko  tanhā.ī  meñ  samjhāyā  bahut  kuchh  hai
koī  do  ghūñT  pī  kar  jī  to  saktā  hai  'valī'  lekin
kisī  dariyā  se  tishna-lab  guzar  jaanā  bahut  kuchh  hai