fasīl-e-reg  par  itnā  bharosa  kar  liyā  tum  ne
chhateñ  bhī  Daal  diiñ  aur  vā  darīcha  kar  liyā  tum  ne
ta.ajjub  hai  ibādat  meñ  bhī  aisā  kar  liyā  tum  ne
nahīñ  dil  ko  jhukāyā  aur  sajda  kar  liyā  tum  ne
kabhī  maanā  sharī.at  kī  kabhī  is  se  rahe  aajiz
magar  da.avā  ki  dil  allāh  vaalā  kar  liyā  tum  ne
mohabbat  pyaar  hamdardī  sabhī  ko  rakh  diyā  girvī
husūl-e-aish  kī  ḳhātir  jo  chāhā  kar  liyā  tum  ne
sameTā  zindagī  bhar  kaalī  gorī  jeb  kī  raunaq
Dhalā  jab  umr  kā  sūraj  to  tauba  kar  liyā  tum  ne
tahārat  kī  tamannā  hai  na  dil  meñ  haq-pasandī  hai
magar  ma.asūm  chehra  aur  labāda  kar  liyā  tum  ne
garāñ-māya  amānat  thī  use  mahfūz  rakhnā  thā
'valī'  pākīza  tahzīboñ  kā  saudā  kar  liyā  tum  ne