dil  pyaar  ke  rishtoñ  se  mukar  bhī  nahīñ  jaatā
shākī  hai  magar  chhoḌ  ke  dar  bhī  nahīñ  jaatā
ham  kis  se  kareñ  sho.alagī-e-mehr  kā  shikva
ai  abr-e-gurezāñ  to  Thahar  bhī  nahīñ  jaatā
is  shahr-e-anā  meñ  jo  fasādāt  na  chhiḌte
to  pyaar  kā  ye  shauq-e-safar  bhī  nahīñ  jaatā
vo  fahm-o-farāsat  kā  diyā  haath  meñ  le  kar
is  daur-e-tashaddud  se  guzar  bhī  nahīñ  jaatā
is  ek  kī  rassī  ko  agar  thaam  ke  rahte
phir  apnī  duāoñ  kā  asar  bhī  nahīñ  jaatā
ye  ziist  ke  lamhe  haiñ  'valī'  qīmtī  hiire
kyuuñ  koī  baḌā  kaam  tū  kar  bhī  nahīñ  jaatā