Hans Raj Sachdev 'hazii.n'

muskura doge to ye raat sanwar jaegi

Hans Raj Sachdev 'hazii.n'

1913

muskurā doge to ye raat sañvar jā.egī

hañs jo doge to fazā aur nikhar jā.egī

apnī manzil pe pahuñch jā.egī betāb nazar

apne markaz pe na pahuñchī to kidhar jā.egī

kaash us husn-e-ḳhud-ārā se koī ke kahe

zulf ko laakh sañvāre ye bikhar jā.egī

muntazir shaam se un huuñ magar jāntā huuñ

aaj raat bhī āñkhoñ meñ guzar jā.egī

aap bhī zulf-e-pareshāñ ko haTā leñ ruḳh se

mere chhūne se to nāgin ye biphar jā.egī

hāl-e-dil kyuuñ na 'hazīñ' aaj guloñ se kah duuñ

nik.hat-e-gul bhī mire dost ke ghar jā.egī

Top Urdushayar.com