kyuuñ  mujh  se  gurezāñ  hai  maiñ  terā  muqaddar  huuñ
ai  umr-e-ravāñ  ḳhush  huuñ  maiñ  tujh  ko  mayassar  huuñ
maiñ  aap  bahār  apnī  maiñ  apnā  hī  manzar  huuñ
ḳhud  apne  hī  ḳhvāboñ  kī  ḳhushbū  se  mo.attar  huuñ
be-rañg  na  vāpas  kar  ik  sañg  hī  de  sar  ko
kab  se  tirā  tālib  huuñ  kab  se  tire  dar  par  huuñ
jab  jaisī  zarūrat  ho  ban  jaatā  huuñ  vaisā  hī
ḳhud  apnī  tabī.at  meñ  shīsha  huuñ  na  patthar  huuñ
lamhoñ  ke  tasalsul  meñ  marzī  hai  mirī  shāmil
maiñ  vaqt  kī  shah-e-rag  par  rakkhā  huā  ḳhanjar  huuñ
āsūda  huuñ  maiñ  apne  vīrāna-e-hastī  meñ
duniyā  tujhe  milne  ke  imkān  se  bāhar  huuñ
jab  chāhūñ  simaT  kar  maiñ  zarre  meñ  samā  jā.ūñ
vus.at  meñ  to  vaise  hī  sahrā  huuñ  samundar  huuñ