ro  rahī  hai  jis  tarah  ye  sham.a  parvāne  ke  ba.ad
aap  bhī  ro.eñge  mujh  ko  mere  mar  jaane  ke  ba.ad
gar  nahīñ  miltī  sharāb-e-nāb  aañsū  hī  sahī
kuchh  to  piinā  chāhiye  furqat  meñ  ġham  khāne  ke  ba.ad
rashk-e-jannat  ban  gayā  thā  aap  ke  aane  se  ghar
ho  gayā  dozaḳh  se  bad-tar  phir  chale  jaane  ke  ba.ad
kyā  ḳhabar  ham  bad-nasīboñ  ko  hai  kyā  shai-e-bahār
ham  ne  to  gulshan  ko  dekhā  hai  ujaḌ  jaane  ke  ba.ad
kyā  batā.eñ  tujh  ko  vaa.iz  mai-kashī  ke  ham  maze
aap  ho  jā.eñge  ma.alūm  ek  paimāne  ke  ba.ad
rā.egāñ  hone  na  do  ai  'shauq'  tum  vaqt-e-azīz
ye  vo  shai  hai  jo  nahīñ  miltī  hai  kho  jaane  ke  ba.ad