ġham  kā  iz.hār  bhī  karne  nahīñ  detī  duniyā
aur  martā  huuñ  to  marne  nahīñ  detī  duniyā
sab  hī  mai-ḳhāna-e-hastī  se  piyā  karte  haiñ
mujh  ko  ik  jaam  bhī  bharne  nahīñ  detī  duniyā
āstāñ  par  tire  ham  sar  ko  jhukā  to  lete
sar  se  ye  bojh  utarne  nahīñ  detī  duniyā
ham  kabhī  dair  ke  tālib  haiñ  kabhī  kaaba  ke
ek  markaz  pe  Thaharne  nahīñ  detī  duniyā
bijliyoñ  se  jo  bachātā  huuñ  nasheman  apnā
mujh  ko  aisā  bhī  to  karne  nahīñ  detī  duniyā
mundamil  hone  pe  aa.eñ  to  chhiḌaktī  hai  namak
zaḳhm  dil  ke  mire  bharne  nahīñ  detī  duniyā
merī  koshish  hai  mohabbat  se  kināra  kar  luuñ
lekin  aisā  bhī  to  karne  nahīñ  detī  duniyā
dene  vāloñ  ko  hai  duniyā  se  baġhāvat  lāzim
dene  vāloñ  ko  ubharne  nahīñ  detī  duniyā
jis  ne  buniyād  gulistāñ  kī  kabhī  Daalī  thī
us  ko  gulshan  se  guzarne  nahīñ  detī  duniyā
ghuT  ke  mar  jā.ūñ  ye  ḳhvāhish  hai  zamāne  kī  'kañval'
aah  bhartā  huuñ  to  bharne  nahīñ  detī  duniyā