aur  duniyā  meñ  ham  ne  kyā  dekhā
sirf  terā  hī  rāsta  dekhā
us  ne  sūraj  se  chaar  kiiñ  āñkheñ
jis  ne  manzar  thā  raat  kā  dekhā
siskiyāñ  chāñd  kī  sunīñ  ham  ne
jab  sitāroñ  ko  TūTtā  dekhā
mere  dāman  meñ  pyaas  kitnī  thī
maiñ  ne  dariyā  kā  rāsta  dekhā
husn  dekhā  to  uñgliyāñ  kāTīñ
kyā  kareñge  agar  ḳhudā  dekhā
har  shikan  phuuT  phuuT  kar  roī
raat  phir  ḳhvāb-e-karbalā  dekhā
aks  apnā  dhuāñ  dhuāñ  paayā
aaj  'tāriq'  jab  aa.ina  dekhā