dil-lagī  aur  chiiz  hotī  hai
dilbarī  aur  chiiz  hotī  hai
rasm  hai  yuuñ  muānqa  karnā
dostī  aur  chiiz  hotī  hai
bā-vazū  huuñ  maiñ  qibla-rū  bhī  magar
bandagī  aur  chiiz  hotī  hai
in  ujāloñ  ko  raushnī  na  kaho
raushnī  aur  chiiz  hotī  hai
ham  to  lāsheñ  haiñ  saañs  letī  huī
zindagī  aur  chiiz  hotī  hai
harf-dar-harf  dard  haiñ  baabā
shā.irī  aur  chiiz  hotī  hai
bandisheñ  aur  chiiz  haiñ  'tāriq'
shā.irī  aur  chiiz  hotī  hai