Zulfiqar Aadil

sahraon ke dost the hum KHud-arai se KHatm hue

Zulfiqar Aadil

1972
sahrāoñ ke dost the ham ḳhud-ārā.ī se ḳhatm hue
uupar uupar ḳhaak uḌaa.ī gahrā.ī se ḳhatm hue
vīrāna bhī ham the ḳhāmoshī bhī ham the dil bhī ham
yaksūī se ishq kiyā aur yaktā.ī se ḳhatm hue
dariyā daldal parbat jañgal andar tak aa pahuñche the
isī bastī ke rahne vaale tanhā.ī se ḳhatm hue
kitnī āñkheñ thiiñ jo apnī bīnā.ī meñ Duub ga.iiñ
kitne manzar the jo apnī pahnā.ī se ḳhatm hue
'ādil' is rahdārī se vābasta kuchh gul-daste the
ruk ruk kar baḌhne vāloñ kī paspā.ī se ḳhatm hue
Top Urdushayar.com